Abi Is Taraf Na Nigah Kar

0
32

Abi Is Taraf Na Nigah Kar, Main Gazal Ki Palkein Sanwar Lun,
Mera Lafz Lafz Ho Aaiyna, Tujhey Aaiynay Mein Utar Lun,

Main Tamaam Din Ka Thaka Hua, Tu Tamaam Shab Ka Jaga Hua,
Zara Thehar Ja Is Mord Par, Terey Sath Shaam Guzaar Lun,

Agar Aasman Ki Numaishon Mein, Mujhey Bi Ik Din Qiyaam Ho,
Toh Main Motiyon Ki Dukaan Se, Teri Baaliyan Terey Haar Lun,

Kai Ajnabi Teri Rah Ke, Merey Pass Se Yun Guzar Gaye,
Jinhein Dekh Kar Ye Tardap Hui, Tera Naam Lay Kar Pukar Lun…

Abi Is Taraf Na Nigah Kar -  - Picture Shayari

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

eighteen − eleven =